Khushbu tere pyar ki mujhe mehka jaati hey,
Teri har baat mujhe behka jaati hey,
Saans toh bahut der leti hey aane jaane me,
Har saans se pehle teri yaad aa jaati hey
Laut jaati hey duniya gham hamaara dekhkar,
Jaise laut jaati hey lehrein kinaara dekhkar,
Tu kandha na dena mere janaaze ko,
Kahi fir zinda na ho jau tera sahara dekhkar
Dil ke kareeb aa ke wo jab door ho gaye,
Saare haseen khwaab chur chur ho gaye,
Hamne wafa nibhai toh badnaami mili,
Wo bewafaii karke bhi mashoor ho gaye
Zinda karne waale marta chod gaye,
Apnapan jataane waale tanha chod gaye,
Jab padi zaroorat hame apne humsafar ki,
Vo saath chalne waale apna rasta hi mod gaye
Chalo maana aap hey dur kuch pal ke liye,
Magar hey kareeb harpal ke liye,
Kaise bhulayenge aapko ek pal ke liye,
Jab ho chuki hey rishta aapse umr bhar ke liye
Paane se khone ka maza kuch aur hey,
Bandh aankhon se dekhne ka maza kuch aur hey,
Aansu bane lafz aur lafz bane ghazal,
yaadon ke saath jeene ka maza kuch aur hey
Taras gaye tere didaar ko,
Dil phir bhi tere liye dua karta hey,
Hum se acha toh tere ghar ke aaina hai,
jo roz tumhe dekha toh karta hey.
Kasam unki jo hame azmaaye baithe hey,
Pas he dil ke par door ja baithe hey,
Nazre mile to baat ho,
Mushkhil toh ye hey wo nazre chupa ke baithe hey
Wednesday, March 14, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment