ZARA GAUR FARMAIYE
Chehre ki har Muskaan bann jata hai koi,
Dil ki har Dhadkan bann jata hai koi,
Phir kaise jiyenge Zindagi unke bin,
jab Zindagi jine ki wajah ban jata hai koi…
Ashiq ankho ki baat samajh lete hai,
woh khwabo me aayen toh mulakat samajh lete hai,
rota hai aasman apni zamin ke liye,
log pagal hai usse barsat samajh lete hain…
Unko milne ka mann bahut kar raha hai…
Mann ko samjhaya toh Dil tadap raha hai…
Dil ko bataya toh ankhe roh padi…
Unhe chup karaya toh SAANSE bol padi….
Khoob aati hai jab bhi aati hai,
Yaad teri bahot sataati hai,
Dhoop main,chaanw main, ghataaon main,
Teri soorat ubhar ke aati hai
Rukta bhi nahi,
theek se chalta bhi nahiYeh dil hai kay tere baad sambhalta hi nahi
Is umar key sehra say teri yaad ka baadal Talta bhi nahi aur barasta bhi nahi
Khudaa jab husn deta hai nazaakat aaa hi jati hai
Kadam chun chun kar rakhti ho kamar balkha hi jaati hai
Ye badal ye bijli sirf apke liye hai,
Ye mausam ye hawa sirf apke liye hai,
kai mahine bit gaye apko suno hue,
Ye barish yeh boonde sirf apke liye hai
Agar Zindagi me Judai Na Hoti,
toh Kabhi Kisi ki yaad Aayi na hoti,
Saath Guzarte har Lamhe,
toh Shayad Rishto me yeh Gehrai Aayi na Hoti
Jab bhi Chand ko Dekho yaad Karna Humme,
Yeh Sochkar Nahi ki kitna Khubsurat hai woh,
Yeh Sochkar ke Tanha hai woh bhi,
Sitaron ki Bheed mein…
Sunday, February 18, 2007
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
No comments:
Post a Comment